ApnaMunshi
UR
Muft shuru kareinShuru karein

Munshi app install karein

Ek minute. Home screen se aam app ki tarah khulti hai, counter par internet ke baghair chalti hai, aur Play Store account nahin chahiye.

Upar button nahin? App shayad pehle se install hai: home screen se Munshi kholein. Ya neeche apne device ke qadam dekhein.

Aap ke device ke qadam

Chrome se install karein:

  1. Chrome mein apnamunshi.com/app kholein.
  2. Upar hara "Install Munshi app" button dabayein, phir "Install".
  3. Button nahin? Upar daayen menu (⋮) dabayein aur "Install app" ya "Add to Home screen" chunein.
  4. Munshi ko home screen ke icon se kholein, Chrome se nahi.

Install ke baad: yahan se shuru karein

  1. 1

    Apna account banayein

    Aap ka mobile number aur PIN. Pehle se hai? Sign in karein.

    Mobile number se shuru kareinLog in

  2. 2

    Apni pehli cheez daalein

    Naam, bechne ki qeemat, khareed ki qeemat aur kitni hain.

    Sabaq 5 →
  3. 3

    Pehla bill banayein

    Cheezon par tap, Pay, Print invoice.

    Sabaq 17 →
  4. 4

    Settings, stock aur din band karna

    Raseed ka naam, printer, dealer se stock, aur raat ko galla.

    Sabaq 9 → · Sabaq 8 → · Sabaq 25 →

Munshi seekhein: 25 chhote sabaq

Har sabaq mein likhe qadam aur Urdu mein chhoti video hai. Parhein, dekhein ya dono, aur saath saath apne phone par karein.

Shuruaat

Sign in karein aur raasta samjhein.

1 Munshi mein khush aamdeed 2 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Munshi aap ki dukaan ka hisab rakhta hai: bill, stock, udhaar, kharcha aur munafa.
  2. Phone, tablet aur computer teeno par chalta hai, har jagah ek hi hisab.
  3. Home par bade button hain: Bikri se bill, Cheezain se maal, Udhaar se kis ne kitna dena hai, Kharcha aur Munafa.
2 Login kaise karein 3 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Munshi app kholein (ya Chrome mein apnamunshi.com) aur "Sign in" dabayein.
  2. Apna mobile number likhein, jaise 0300 1234567, aur 4 se 6 hindson ka PIN. "Sign in" dabayein.
  3. PIN bhool gaye? "Forgot PIN?" dabayein: mobile ya email par code aayega, phir naya PIN banayein.
  4. Har cashier ka apna mobile aur PIN: More → Users.
3 Home screen ko samjhein 3 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Upar: aaj ki bikri, bills ki tadaad, aur "Listen" se figures sunein.
  2. Aaj ka munafa: bikri minus maal ki qeemat minus kharcha. Cash in hand: galle mein kitna hona chahiye.
  3. Neeche wali patti har screen par hai: Home, Bikri, Udhaar, Munafa, More. Baqi sab More mein.
  4. Aasaan mein roz ke kaam ke bade button; Poora mein saari reports. Hisab dono mein ek hi.
4 POS screen aur us ke buttons 4 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Bikri se bill ki screen khulti hai. Hara nishan: internet chal raha hai; internet ke baghair bhi bill save hote hain aur baad mein chale jate hain.
  2. Upar: naam se cheez dhoondein, camera ke liye barcode button, aur udhaar bill ke liye Gahak.
  3. Har dabbe par cheez ka naam, qeemat aur kitni bachi. "Amount only" se sirf raqam ka bill.
  4. Neeche: Baad mein (bill rok lein), Discount, aur Pay.

Apni dukaan tayyar karein

Aap ki cheezain, qeematein, stock aur raseed: shuru mein ek dafa.

5 Apna pehla saman shamil karein 4 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Home → Cheezain → "+ Nayi cheez".
  2. Cheez ka naam waise likhein jaise dukaan mein bolte hain, Urdu ya English mein, jaise "Pepsi 500ml".
  3. Bechne ki qeemat: gahak kitne dega. Khareed ki qeemat: aap ne kitne mein li (sirf aap dekhte hain; munafa isi se nikalta hai).
  4. Abhi kitni hain? Yahi stock hai. "Save item" dabayein. Cheez ab bikri ki screen par hai.
  5. Baad mein badalna ho: Cheezain → cheez par tap → badlein → Save.
6 Saman ki qismein 3 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Category cheezon ke group hain, jaise Drinks, Dairy, Grocery, taake bikri ki screen par jaldi milein.
  2. Cheez mein: More details → Category → chunein, ya nayi likhein. Save.
  3. Bikri ki screen par category dabayein to sirf us ki cheezain.
7 Bechne ki qeemat lagayein 3 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Cheezain → "Fill prices & stock" se saari cheezain ek page par: qeemat, khareed aur stock.
  2. Qeematein likhein aur "Save all" dabayein.
  3. Ek cheez: Cheezain mein us par tap, qeemat badlein, Save.
  4. Bill par cheez ke naam par tap karein to sirf usi bill ki qeemat badlein.
8 Stock daalein 4 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Stock batata hai har cheez kitni bachi aur saare maal ki qeemat.
  2. Dealer se naya maal: "Maal aaya" → dealer, cheezain, kitni, qeemat → Save. Stock barh jata hai.
  3. Har bill bikne wali cheezain stock se khud nikal deta hai.
  4. Toota ya expiry wala: "Kharab maal". Mahine mein ek dafa gin kar: "Count stock".
9 Dukaan ki settings 3 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Mazeed → Settings.
  2. Dukaan ka naam, phone aur pata har raseed ke upar chhapta hai; neeche "Shukriya!" likh sakte hain.
  3. Printer size: 58 ya 80 mm, kaghaz ke mutabiq. Chahein to bill 1 rupay tak gol karein.
  4. Bechne ke usool: zero stock par bechna, cashier ki discount hadd, bill kitni der tak cancel ho, aur cashier kitna cash nikal sakta hai.
  5. Save dabayein.

Pehla bill banayein

Cheezain chunne se raseed chhapne tak.

10 POS screen kholein 2 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Home → Bikri. Computer par Poora dashboard ke upar POS button.
  2. Din ke pehle bill ke saath galla khud khul jata hai.
11 Saman talaash karein 2 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. "Find item" mein kuch harf likhein, Urdu ya English.
  2. Ya barcode button dabayein aur barcode camera ke saamne rakhein. Scanner gun bhi chalti hai.
  3. Ya category dabayein aur us ki cheezain dekhein.
12 Bill mein saman daalein 2 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Cheez ke dabbe par tap: bill mein aa jati hai.
  2. Dobara tap se ek aur. Neeche total har cheez ke saath barhta hai.
13 Tadaad badlein 2 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Bill ki line par + aur − se tadaad badlein.
  2. Ya bill par cheez ke naam par tap kar ke tadaad likhein, jaise 2.5 kg.
14 Saman hatayein 2 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Bill par cheez ke naam par tap, phir "Remove". Ya − dabate rahein jab tak hat jaye.
15 Riayat dein 3 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Poora bill: "Discount" dabayein aur rupay ya percent likhein.
  2. Ek cheez: bill par us ke naam par tap aur discount likhein.
  3. Cashier Settings ki hadd tak de sakta hai; zyada ke liye malik ka PIN.
16 Payment ka tareeqa chunein 3 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Pay dabayein. Cash, JazzCash, Easypaisa, Card ya Udhaar chunein.
  2. Cash: gahak ne jitne diye likhein; Munshi baqaya dikhata hai. Poori raqam di ho to "Exact".
  3. Udhaar: gahak chunein; raqam us ke khate mein chali jati hai.
  4. Kuch cash, kuch udhaar: pehle cash likhein, phir baqi ke liye Udhaar.
17 Pehli sale mukammal karein 8 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Bikri → cheezon par tap → total dekhein.
  2. Pay → Cash → gahak ki di hui raqam likhein → baqaya dekhein.
  3. "Print invoice" dabayein (ya raseed WhatsApp karein). Bill save aur stock kam.
  4. Pehla bill ban gaya. Home par aaj ki bikri mein nazar aata hai.
18 Raseed print karein 3 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Paise ke baad: "Print invoice" printer par chhapta hai, ya raseed WhatsApp par bhejein.
  2. Bluetooth printer: bikri ki screen par "Printer" dabayein aur ek dafa jor lein.
  3. Baad mein dobara: Recent → bill → Print.

Dukaan mein har roz

Bill, stock, udhaar, wapsi, munafa aur galla band karna.

19 Bikri ki tareekh 3 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. More → Bills mein aaj aur pichle bill. Tareekh badal kar doosre din.
  2. Raseed ka bill number likh kar dhoondein (offline raseed wala number bhi).
  3. Bill khol kar dobara print, WhatsApp, wapsi ya cancel.
20 Aaj ki bikri 2 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Home par aaj ke bills ka total aur tadaad.
  2. Munafa → Khulasa: bikri, munafa, kharcha, udhaar diya aur wasool, aur cash. WhatsApp par bhejein.
21 Mojooda stock dekhein 3 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Stock: cheez dhoond kar dekhein kitni bachi aur qeemat.
  2. "Khatam ho raha hai" batata hai kya mangwana hai; "Below zero" woh jo stock likhne se pehle bik gaye.
  3. Bikri ki screen par har dabbe ka chhota number stock hai.
22 Customers aur udhaar 5 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Udhaar mein "Lena hai" (gahakon se) aur "Dena hai" (dealers ko).
  2. Gahak daalein: Udhaar → "+ Naya gahak" → naam aur mobile → Save.
  3. Jab dein: gahak kholein → "Raqam mili" → raqam → Save. Baqaya kam ho jata hai.
  4. Ek tap mein WhatsApp yaad dihani, poore hisab ke link ke saath.
23 Wapsi aur paise wapas 4 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Bill dhoondein (Bills, ya raseed number) → "Wapsi".
  2. Kitni wapas aayi chunein. Toota maal: "Damaged" par tick taake stock mein wapas na jaye.
  3. Paise wapas dein, ya gahak ke khate mein daalein. Save.
  4. Ghalat bill: "Cancel bill" se stock aur udhaar wapas.
24 Bikri ki reports samjhein 4 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Munafa → Aaj, Is hafte, Is mahine ya Pichla mahina chunein.
  2. Bikri − maal ki qeemat − kharcha = munafa. Nuqsan laal mein.
  3. "Details" mein har hissa: bikri, wapsi, discount, bill rounding aur har kharcha.
  4. Poori profit / loss report cheez aur category ke hisab se; cash book galle ka har rupaya andar bahar.
25 Din band karein: galla 4 minute · Video · Likhe hue qadam
  1. Raat ko: Galla. "Cash should be" yani galle mein kitna hona chahiye.
  2. Din mein nikale ya daale paise: "Cash in / out" wajah ke saath.
  3. "Close counter": har note ki ginti likhein. Munshi jor kar kami batata hai.
  4. Band karein. Kal pehle bill ke saath galla phir khulega.

Yeh page nayi dukaan ko bhejein

Woh phone ya computer par kholein, Install dabayein, aur sabaq yahin hain.

https://apnamunshi.com/install-app

WhatsApp par bhejein

Madad chahiye? WhatsApp karein: +92 320 7860440

Munshi app install karein

YouTube par kholein