ApnaMunshi
UR
Muft shuru kareinShuru karein

Module guide

Munshi ke modules mil kar kaise kaam karte hain

Har module ek hi products, gahak aur paisa istemal karta hai. Naya module pehle walon ke saath chalta hai, kuch do baar likhna nahin parta.

Aik bill ka safar

Gahak udhaar par khareedta hai. Dekhein har module us aik bill ke sath kya karta hai.

  1. 1

    Aap POS mein bill banate hain.

    POS aur billing

  2. 2

    Stock khud kam ho jata hai.

    POS aur billing

  3. 3

    Raqam gahak ke khate mein chali jati hai.

    Udhaar khata

  4. 4

    Raseed par rating ka link hota hai; gahak na-khush ho to aap ko foran pata chal jata hai.

    POS aur billing

  5. 5

    Waday ki tareekh par WhatsApp yaad dehani chali jati hai.

    WhatsApp aur SMS

  6. 6

    Gahak cheque se adaigi karta hai; clear hone par khata aur aap ka bank update ho jate hain.

    Udhaar khata

  7. 7

    Munafa aaj ke hisaab mein nazar aata hai.

    Kharcha aur munafa

  8. 8

    AI Munshi se poochein, WhatsApp par bhi: "sab se zyada udhaar kis par hai?"

    AI Munshi

Pata nahi kya lein? Apne karobar wala set chunein

Modules kabhi bhi lagayein ya hatayein. Har module ka 15 din muft trial hai.

Kiryana ya general store

3 module: POS aur billing, Udhaar khata, Kharcha aur munafa
  • POS aur billingRs 299
  • Udhaar khataRs 199
  • Kharcha aur munafaRs 249

Kul Rs 747/mahina

Inhi se shuru karein

Restaurant ya café

3 module: POS aur billing, Kharcha aur munafa, Restaurant
  • POS aur billingRs 299
  • Kharcha aur munafaRs 249
  • RestaurantRs 349

Kul Rs 897/mahina

Inhi se shuru karein

Online bechne wale

3 module: POS aur billing, Online stores, Courier aur COD
  • POS aur billingRs 299
  • Online storesRs 399
  • Courier aur CODRs 299

Kul Rs 997/mahina

Inhi se shuru karein

Mobile ya electronics shop

3 module: POS aur billing, Udhaar khata, Qistein (installments)
  • POS aur billingRs 299
  • Udhaar khataRs 199
  • Qistein (installments)Rs 249

Kul Rs 747/mahina

Inhi se shuru karein

Salon, clinic ya service ki dukaan

3 module: POS aur billing, Udhaar khata, Appointments aur services
  • POS aur billingRs 299
  • Udhaar khataRs 199
  • Appointments aur servicesRs 249

Kul Rs 747/mahina

Inhi se shuru karein

Darzi ya boutique

3 module: POS aur billing, Udhaar khata, WhatsApp aur SMS
  • POS aur billingRs 299
  • Udhaar khataRs 199
  • WhatsApp aur SMSRs 249

Kul Rs 747/mahina

Inhi se shuru karein

Wholesale ya distributor

3 module: POS aur billing, Udhaar khata, Kharidari aur dealers
  • POS aur billingRs 299
  • Udhaar khataRs 199
  • Kharidari aur dealersRs 249

Kul Rs 747/mahina

Inhi se shuru karein

Office ya factory (sirf staff)

1 module: HRM aur payroll
  • HRM aur payrollRs 499

Kul Rs 499/mahina

Inhi se shuru karein

School, academy ya madrasa

2 module: WhatsApp aur SMS, School aur academy
  • WhatsApp aur SMSRs 249
  • School aur academyRs 599

Kul Rs 848/mahina

Inhi se shuru karein

Clinic, hospital ya lab

3 module: POS aur billing, WhatsApp aur SMS, Hospital aur clinic
  • POS aur billingRs 299
  • WhatsApp aur SMSRs 249
  • Hospital aur clinicRs 599

Kul Rs 1,147/mahina

Inhi se shuru karein

Hotel, hostel ya PG

2 module: WhatsApp aur SMS, Hotel, hostel aur PG
  • WhatsApp aur SMSRs 249
  • Hotel, hostel aur PGRs 499

Kul Rs 748/mahina

Inhi se shuru karein

Petrol pump ya CNG station

2 module: WhatsApp aur SMS, Petrol pump aur CNG
  • WhatsApp aur SMSRs 249
  • Petrol pump aur CNGRs 499

Kul Rs 748/mahina

Inhi se shuru karein

Jewellers (sunar)

2 module: WhatsApp aur SMS, Jewellers (sunar)
  • WhatsApp aur SMSRs 249
  • Jewellers (sunar)Rs 499

Kul Rs 748/mahina

Inhi se shuru karein

Transport ya goods adda

2 module: WhatsApp aur SMS, Transport aur goods adda
  • WhatsApp aur SMSRs 249
  • Transport aur goods addaRs 499

Kul Rs 748/mahina

Inhi se shuru karein

Ganna kanta / dharam kanta

2 module: WhatsApp aur SMS, Ganna kanta
  • WhatsApp aur SMSRs 249
  • Ganna kantaRs 499

Kul Rs 748/mahina

Inhi se shuru karein

Qist ka karobar

4 module: POS aur billing, Udhaar khata, WhatsApp aur SMS, Qistein (installments)
  • POS aur billingRs 299
  • Udhaar khataRs 199
  • WhatsApp aur SMSRs 249
  • Qistein (installments)Rs 249

Kul Rs 996/mahina

Inhi se shuru karein

Doodh wala, pani ya LPG delivery

3 module: Udhaar khata, WhatsApp aur SMS, Doodh aur rozana delivery
  • Udhaar khataRs 199
  • WhatsApp aur SMSRs 249
  • Doodh aur rozana deliveryRs 299

Kul Rs 747/mahina

Inhi se shuru karein

Mandi arhti (commission agent)

3 module: Udhaar khata, WhatsApp aur SMS, Mandi arhat (commission agent)
  • Udhaar khataRs 199
  • WhatsApp aur SMSRs 249
  • Mandi arhat (commission agent)Rs 499

Kul Rs 947/mahina

Inhi se shuru karein

Motorcycle ya car showroom

3 module: Udhaar khata, Qistein (installments), Motorcycle aur car showroom
  • Udhaar khataRs 199
  • Qistein (installments)Rs 249
  • Motorcycle aur car showroomRs 499

Kul Rs 947/mahina

Inhi se shuru karein

Gym ya fitness club

3 module: Udhaar khata, WhatsApp aur SMS, Gym aur fitness club
  • Udhaar khataRs 199
  • WhatsApp aur SMSRs 249
  • Gym aur fitness clubRs 299

Kul Rs 747/mahina

Inhi se shuru karein

Har module aur woh kis se jurta hai

+ Module ka matlab: agar woh module bhi hai to yeh khud ho jata hai.

Yahan se shuru karein

POS aur billing

Rs 299/mahina

Bikri screen, receipts, wapsi, barcode, maal aur kam maal ke alerts

  • Bikri screen: barcode scanner ya phone camera, raqam se bechna, discount aur charges
  • Chhote printer par raseed, A4 invoice aur WhatsApp bill
  • Phone se print: Bluetooth thermal printer (58 / 80 mm) baghair app ke, ya phone ki print screen se
  • Wapsi, tabdeeli aur wajah ke saath cancel bill
  • Har bill ke saath stock kam hota hai; kam stock alert aur ginti
  • Galla kholna aur band karna, cash kam ya zyada ke saath
  • Gift vouchers aur easyload / bill-payment counter
  • Aap ki dukaan ke liye tayyar items ki list
  • Medical store: schedule dawa ke bill par doctor aur nuskhe ki photo, doctor-wise register
  • Mobile shop: IMEI, repair aur company ko bheje gaye warranty claim aur wapsi

Kis se juRta hai ▾

  • + Udhaar khata Bill ka udhaar khud gahak ke khate mein chala jata hai.
  • + Kharcha aur munafa Har bikri aur us ki laagat aaj ke munafe aur cash book mein jati hai.
  • + Kharidari aur dealers Aaya hua maal stock mein judta hai, aur mangwane ki list bikne wali cheezon se banti hai.
  • + Restaurant Table aur takeaway orders usi menu aur stock se POS bill bante hain.
  • + Online stores Daraz aur Shopify orders POS ki bikri bante hain; dukaan aur online ka stock aik.
  • + Courier aur COD COD bill se seedha parcel book karein; wapas aaye parcel stock mein chale jate hain.
  • + WhatsApp aur SMS Raseed WhatsApp par gahak ko jati hai, aur gahak aap ke WhatsApp number par chat kar ke order de sakte hain; order POS bill ban jata hai.
  • + Tafseeli reports Bikri, stock aur munafe ki reports, Excel aur PDF ke sath.
  • + AI Munshi Poochein "aaj kitni bikri hui?" aur jawab apni bikri se paayein.
  • + API aur webhooks Aap ki apni website ya app bikri aur cheezain parh sakti hai.
  • + Appointments aur services Mukammal appointment apni services ke sath bill ban jati hai, cash, JazzCash ya udhaar mein adaigi.
  • + School aur academy School canteen ya book shop isi account mein POS se chalayein.
  • + Hospital aur clinic Hospital ki pharmacy POS se chalayein: dawaiyan, batch aur expiry isi account mein.
  • + Hotel, hostel aur PG Hotel ka restaurant ya tuck shop usi account mein POS se chalayein.
  • + Petrol pump aur CNG Mobil oil, filter aur tuck shop POS se, usi account mein.

Udhaar khata

Rs 199/mahina

Gahak aur dealer ka udhaar, yaad-dehani aur statements

  • Har customer ka udhaar aur har dealer ka aap par baqi
  • WhatsApp yaad dihani aur statement link
  • Wade ki tareekhein aur udhaar risk score
  • Cheque aur aage ki tareekh ke cheque
  • Committee (BC) tracker

Kis se juRta hai ▾

  • + POS aur billing Bill ka udhaar khud gahak ke khate mein chala jata hai.
  • + Qistein (installments) Qiston ka plan gahak ke khate par hota hai; har adaigi baqaya kam karti hai.
  • + WhatsApp aur SMS Udhaar ki yaad dehani raqam ke sath WhatsApp ya SMS par jati hai.
  • + Kharidari aur dealers Dealer ke baqi bill dealer ke khate mein nazar aate hain.
  • + AI Munshi Poochein sab se zyada udhaar kis par hai.
  • + Kharcha aur munafa Gahakon se aur dealers ko cheques aap ke bank account aur khata mein aik sath clear hote hain; bounce cheque kuch nahi badalta.
  • + Appointments aur services Mustaqil gahak service ki adaigi udhaar par kar sakta hai; yeh us ke khata mein jati hai.

HRM aur payroll

Rs 499/mahina

Card se haazri, shifts, chhutti, payroll, salary slips aur employee portal

  • Card, QR, fingerprint machine ya phone se haazri
  • Shifts, roster, chutti aur overtime
  • Payroll: salary slips, bonus, advance aur loan
  • Bank ke liye salary file
  • Har mulazim ka salana tankhwah tax certificate
  • Har mahine EOBI aur PF challan sheet (Excel, CSV, print)
  • Employee portal: phone par slips, chutti aur haazri
  • Dukaan ke liye asaan staff: commission aur advance ke saath salary sheet

Kis se juRta hai ▾

  • + Appointments aur services Har appointment staff ke kisi shakhs ke sath book karein aur us ka din dekhein.
  • + Restaurant Waiters aur kitchen staff ki haazri aur tankhwah isi app mein.
  • + Kharcha aur munafa Tankhwahein kharche mein likhi jati hain, aur bank salary file bank mein aik upload se sab ko ada kar deti hai.
  • + Tafseeli reports Haazri aur tankhwah ki reports, Excel aur PDF ke sath.
  • + AI Munshi Poochein is hafte kaun ghair haazir tha ya tankhwah ka kul kitna hai.
  • + WhatsApp aur SMS Salary slip aur chhutti ki khabar staff ko WhatsApp par milti hai.
  • + School aur academy Asatiza ki haazri aur tankhwah talba wali app mein hi.
  • + Hospital aur clinic Doctors, nurses aur staff ki haazri aur tankhwah isi app mein.
  • + Hotel, hostel aur PG Front desk, safai wale aur bawarchi: haazri aur tankhwah usi app mein.
  • + Petrol pump aur CNG Attendants ki haazri, shiftein aur tankhwah usi app mein.
  • + Transport aur goods adda Driver, conductor aur clerk: haazri aur tankhwah usi app mein.

Karobar barhayein

Kharcha aur munafa

Rs 249/mahina

Kharcha, rozana munafa, cash book aur accounts

  • Kharcha heads ke saath, bill ki tasweer aur mahana budget
  • Aaj ka munafa aur mahine ka nafa nuqsan
  • Cash book, bank book aur poore accounts

Kis se juRta hai ▾

  • + POS aur billing Har bikri aur us ki laagat aaj ke munafe aur cash book mein jati hai.
  • + Udhaar khata Gahakon se aur dealers ko cheques aap ke bank account aur khata mein aik sath clear hote hain; bounce cheque kuch nahi badalta.
  • + Kharidari aur dealers Dealer ke bill aur adaigiyan aap ke accounts mein jati hain.
  • + HRM aur payroll Tankhwahein kharche mein likhi jati hain, aur bank salary file bank mein aik upload se sab ko ada kar deti hai.
  • + School aur academy Fees voucher, riayat, jurmanay aur adaigiyan aap ke accounts mein jati hain, taa ke school ka asal munafa nazar aaye.
  • + Hospital aur clinic Fees, lab, bed ka kiraya, peshgi aur wapsi khud aap ke hisaab mein jati hain.
  • + Hotel, hostel aur PG Kamre ka kiraya, khana, dhulai, advance aur refund khud hisaab mein chale jate hain.
  • + Petrol pump aur CNG Tel ki sale, udhaar, tanker aur dip ki kami khud hisaab mein chali jati hai.
  • + Jewellers (sunar) Bill, purana sona, stock aur karigar ki mazdoori khud hisaab mein.
  • + Transport aur goods adda Ticket, wapsi, kiraya, to-pay aur COD khud hisaab mein.
  • + Ganna kanta Ganne ki khareed, kisanon ki adaigi, advance aur wazan fee khud hisaab mein.
  • + Mandi arhat (commission agent) Aap ki arhat aur kharche aamdani mein; kisan aur kharidar ke baqaye aap ke accounts mein.

Kharidari aur dealers

Rs 249/mahina

Purchase orders, dealer ke bill aur reorder list

  • Purchase orders, dealer bills aur jo aap ne diya
  • Stock aur bikri se dobara mangwane ki list
  • Maal wapas dealer ko, print wapsi parchi (debit note) aur WhatsApp ke saath
  • Dealer price list aur adaigi ki tareekhein

Kis se juRta hai ▾

Zaroorat: POS aur billing. Khareeda hua maal usi stock mein judta hai jo POS rakhta hai. Yeh aap ke liye khud lag jata hai.

  • + POS aur billing Aaya hua maal stock mein judta hai, aur mangwane ki list bikne wali cheezon se banti hai.
  • + Udhaar khata Dealer ke baqi bill dealer ke khate mein nazar aate hain.
  • + Kharcha aur munafa Dealer ke bill aur adaigiyan aap ke accounts mein jati hain.

Restaurant

Rs 349/mahina

Tables, kitchen tickets, deals aur recipes

  • Table screen: khali, kha rahe aur bill diya
  • Station ke hisab se kitchen tickets aur kitchen screen
  • Table booking: waqt, log aur table, double booking nahin, WhatsApp tasdeeq
  • Takeaway, riders ke saath delivery aur foodpanda orders
  • Deals, options (extra cheese), recipes aur rozana food cost
  • QR menu: mehman table se order karte hain

Kis se juRta hai ▾

Zaroorat: POS aur billing. Table aur takeaway orders ka bill POS se banta hai. Yeh aap ke liye khud lag jata hai.

  • + POS aur billing Table aur takeaway orders usi menu aur stock se POS bill bante hain.
  • + WhatsApp aur SMS Gahak WhatsApp par khana order karte hain; manzoor orders seedhe kitchen screen par jate hain.
  • + HRM aur payroll Waiters aur kitchen staff ki haazri aur tankhwah isi app mein.

Qistein (installments)

Rs 249/mahina

Mahana qiston par bechein: munafa, zamin, schedule, WhatsApp/SMS yaad-dehani aur baqaya list

  • Markup aur zamin ke saath qist par bechein
  • Adaigi ka schedule, yaad dihani aur der wali list

Kis se juRta hai ▾

Zaroorat: Udhaar khata. Qiston ka plan gahak ke udhaar khate par rakha jata hai. Yeh aap ke liye khud lag jata hai.

  • + Udhaar khata Qiston ka plan gahak ke khate par hota hai; har adaigi baqaya kam karti hai.
  • + WhatsApp aur SMS Har qist ki tareekh par SMS ya WhatsApp yaad dehani jati hai.
  • + Jewellers (sunar) Set qiston par bechein, schedule aur yaad dihani ke saath.
  • + Motorcycle aur car showroom Bike ya car qist par bechein: baqi qeemat seedha plan mein.

Appointments aur services

Rs 249/mahina

Salon, clinic aur service ki dukanon ke liye: staff ke sath services ki booking, online booking page, yaad dehani, aur mukammal hone par bill

  • Staff ke saath service book karein; double booking nahin
  • Online booking page aur yaad dihani
  • Kaam hone par bill; packages aur memberships
  • Har mahine staff commission, alag diya ya tankhwah mein

Kis se juRta hai ▾

Zaroorat: POS aur billing. Services cheezon ki tarah bikti hain aur mukammal appointment POS bill ban jati hai. Yeh aap ke liye khud lag jata hai.

  • + POS aur billing Mukammal appointment apni services ke sath bill ban jati hai, cash, JazzCash ya udhaar mein adaigi.
  • + WhatsApp aur SMS Gahakon ko appointment se kuch ghante pehle WhatsApp ya SMS par yaad dehani milti hai.
  • + HRM aur payroll Har appointment staff ke kisi shakhs ke sath book karein aur us ka din dekhein.
  • + Udhaar khata Mustaqil gahak service ki adaigi udhaar par kar sakta hai; yeh us ke khata mein jati hai.

Gym aur fitness club

Rs 299/mahina

Mahana ya lambe plan par members, fee aur kab tak paid, baqi aur jald khatam list WhatsApp reminder ke saath, aur rozana haazri

  • Mahana, 3 mahine ya saalana plan par members, admission fee ke saath
  • Har fee se 'kab tak paid' aage barhti hai, abhi di ya udhaar par
  • Fee baqi aur is hafte khatam wali list, WhatsApp reminder ke saath
  • Front desk par member number, naam ya mobile se haazri
  • Front desk login jo fee plan nahi badal sakta

Kis se juRta hai ▾

Zaroorat: Udhaar khata. Baqi fee member ke khate mein rehti hai jab tak woh na dein. Yeh aap ke liye khud lag jata hai.

  • + WhatsApp aur SMS Jin ki fee baqi hai unhein WhatsApp par yaad dehani.

Online bechein

Online stores

Rs 399/mahina

Daraz, Shopify, WooCommerce aur Amazon ke orders POS mein aate hain; stock har jagah ek jaisa rehta hai

  • Daraz, Shopify, WooCommerce aur Amazon orders POS mein aate hain
  • Dukaan aur online stock ek jaisa rehta hai
  • Facebook, Instagram aur WhatsApp catalog

Kis se juRta hai ▾

Zaroorat: POS aur billing. Online orders POS ki bikri bante hain aur aik hi stock istemal karte hain. Yeh aap ke liye khud lag jata hai.

  • + POS aur billing Daraz aur Shopify orders POS ki bikri bante hain; dukaan aur online ka stock aik.
  • + Courier aur COD Online orders aik tap mein courier se book ho jate hain.

Courier aur COD

Rs 299/mahina

Bill se TCS, Leopards, PostEx, Trax waghaira book karein, label print karein, parcel track karein aur COD ki raqam milayein

  • Bill se TCS, Leopards, PostEx, Trax waghaira book karein
  • Label print, parcel track aur COD payout milayein

Kis se juRta hai ▾

Zaroorat: POS aur billing. Parcel POS bill se book hota hai aur wapsi stock mein chali jati hai. Yeh aap ke liye khud lag jata hai.

  • + POS aur billing COD bill se seedha parcel book karein; wapas aaye parcel stock mein chale jate hain.
  • + Online stores Online orders aik tap mein courier se book ho jate hain.

School aur sehat

School aur academy

Rs 599/mahina

Dakhlay, fees voucher aur defaulters, waldain ko alert ke saath class haazri, imtihan aur result cards, diary, certificates aur parent portal

  • GR No. ke saath dakhle, families aur behan bhai discount
  • Online dakhla form jo walidain link se bharte hain
  • Mahana fee voucher, online payment link, jurmana aur defaulters
  • School vans: routes, drivers, stops aur voucher par van fee
  • Walidain alert ke saath class haazri, diary aur notices
  • Exam date sheet, roll number slips, marks, result card aur agli class
  • Timetable, library, certificates aur parent portal
  • Gate ka visitor register aur shikayaat ki pairvi
  • Kisi aur software se aa rahe hain: students ki list dakhle ki tareekh, har student ki fee riayat aur har family ke purane wajibaat ke saath import karein

Kis se juRta hai ▾

  • + WhatsApp aur SMS Ghair haazir talba ke waldain ko, fees ki yaad dehani, nataij aur notices WhatsApp ya SMS par khud chale jate hain.
  • + HRM aur payroll Asatiza ki haazri aur tankhwah talba wali app mein hi.
  • + Kharcha aur munafa Fees voucher, riayat, jurmanay aur adaigiyan aap ke accounts mein jati hain, taa ke school ka asal munafa nazar aaye.
  • + AI Munshi Poochein kis class mein sab se zyada fees defaulters hain ya aaj kaun ghair haazir tha.
  • + POS aur billing School canteen ya book shop isi account mein POS se chalayein.

Hospital aur clinic

Rs 599/mahina

MR No. ke saath mareezon ka record, OPD token aur qatar screen, WhatsApp par nuskhe, lab reports, ward aur bed, bill, doctor ka hissa

  • MR No. ke saath mareez, OPD token aur intezar gah screen
  • WhatsApp par nuskha aur follow-up yaad dihani
  • Lab orders aur reports
  • Wards, beds, dakhla aur discharge
  • Bills, doctor share aur adaigi
  • Panel billing: har company ya Sehat card ka baqi, print ke liye claim, kai bills ka ek cheque
  • Online OPD token: mareez link se token lein aur apni baari dekhein
  • Clinic ki pharmacy: aik tap mein nuskha counter par bechein

Kis se juRta hai ▾

  • + WhatsApp aur SMS Nuskhe aur lab reports mehfooz link ke saath mareezon ko WhatsApp par pohanchti hain.
  • + POS aur billing Hospital ki pharmacy POS se chalayein: dawaiyan, batch aur expiry isi account mein.
  • + HRM aur payroll Doctors, nurses aur staff ki haazri aur tankhwah isi app mein.
  • + Kharcha aur munafa Fees, lab, bed ka kiraya, peshgi aur wapsi khud aap ke hisaab mein jati hain.

Qayam aur safar

Hotel, hostel aur PG

Rs 499/mahina

Kamron ka board, CNIC ke saath check-in/out aur mehmaan register, raat ya mahine ka kiraya, khana aur dhulai, advance aur baqaya WhatsApp par

  • Room board aur raat ba raat booking calendar
  • CNIC ke saath check-in aur check-out, aur police ke liye guest register
  • Raat ya mahine ka kiraya, khana aur laundry charges
  • Advance, baqaya aur WhatsApp par yaad dihani
  • Register par mehman ke CNIC ya passport ki photo
  • Hotel ke apne link se online room booking

Kis se juRta hai ▾

  • + WhatsApp aur SMS Mehmaanon ke bill aur baqaya ki yaad dahani WhatsApp par.
  • + POS aur billing Hotel ka restaurant ya tuck shop usi account mein POS se chalayein.
  • + HRM aur payroll Front desk, safai wale aur bawarchi: haazri aur tankhwah usi app mein.
  • + Kharcha aur munafa Kamre ka kiraya, khana, dhulai, advance aur refund khud hisaab mein chale jate hain.

Tel aur transport

Petrol pump aur CNG

Rs 499/mahina

Har shift ki nozzle meter reading aur har attendant ka banta cash, rate ki tabdeeli, fleet aur companiyon ka udhaar, tanki ki dip aur tanker

  • Har shift nozzle meter reading aur har attendant se cash
  • Rate tabdeeli, tank dip aur tanker wusooli
  • Fleets aur companies ke liye udhaar
  • Har fleet ya company ki mahana statement, WhatsApp par
  • Shift par bike lubricants aur dukaan ka saman; shaam ki summary

Kis se juRta hai ▾

  • + WhatsApp aur SMS Udhaar wale gahakon ko khata aur yaad dihani WhatsApp par.
  • + POS aur billing Mobil oil, filter aur tuck shop POS se, usi account mein.
  • + HRM aur payroll Attendants ki haazri, shiftein aur tankhwah usi app mein.
  • + Kharcha aur munafa Tel ki sale, udhaar, tanker aur dip ki kami khud hisaab mein chali jati hai.

Transport aur goods adda

Rs 499/mahina

Seat map par musafir ticket rokne aur wapsi ke saath, trips aur musafir list, maal ki bilty (paid, to-pay, khata, COD), loading, pohanchne ke message aur delivery

  • Seat map par tickets, trips aur musafir list
  • Maal bilty: paid, to-pay, khata aur COD
  • Bilty tracking: lene wale apna maal online track karte hain
  • Gaari ke kaghazat, chalane ka kharcha aur trip ka munafa
  • Booking agent, fi seat aur fi bilty commission ke saath
  • Raste ke stop tak kiraya, aur sawariyon ki online roki hui seatein

Kis se juRta hai ▾

  • + WhatsApp aur SMS Maal pohanchne par lene walon ko khud WhatsApp ya SMS jata hai.
  • + HRM aur payroll Driver, conductor aur clerk: haazri aur tankhwah usi app mein.
  • + Kharcha aur munafa Ticket, wapsi, kiraya, to-pay aur COD khud hisaab mein.

Motorcycle aur car showroom

Rs 499/mahina

Har bike ya car engine aur chassis number se, nayi ya purani, cash, udhaar ya qist par biki, aur registration file gahak tak

  • Har bike ya car engine aur chassis number se, nayi ya purani
  • Kisi se khareedi purani gaari: aap ka dena un ke khate mein
  • Cash, udhaar ya qist par bechein (baqi seedha qist plan mein)
  • Registration file qadam ba qadam jab tak gahak ko na mil jaye
  • Farokht naama print, aur har gaari ka munafa

Kis se juRta hai ▾

Zaroorat: Udhaar khata. Gahak ka gaari ka baqi aur seller ko aap ka dena, un ke khate mein rehta hai. Yeh aap ke liye khud lag jata hai.

  • + Qistein (installments) Bike ya car qist par bechein: baqi qeemat seedha plan mein.

Kheti

Ganna kanta

Rs 499/mahina

Kanta parchi: bhaar aur khali, safi kg aur maund, rate, katauti aur safi raqam; fee par wazan; kisanon ke khate, adaigi aur advance

  • Kanta parchi: bhaar, khali aur kg aur mann mein safi
  • Rate, katoti aur dene wali raqam
  • Kisan khate, adaigi aur advance
  • Wazan seedha kante se parhein (computer par Chrome ya Edge)
  • Kashtkar ka permit, mann mein quota aur zyada hone par warning

Kis se juRta hai ▾

  • + WhatsApp aur SMS Kisanon ko parchi aur adaigi WhatsApp ya SMS par.
  • + Kharcha aur munafa Ganne ki khareed, kisanon ki adaigi, advance aur wazan fee khud hisaab mein.

Mandi arhat (commission agent)

Rs 499/mahina

Ghalla, sabzi aur phal mandi: kisan ka maal wazan aur rate se kharidar ko, aap ki arhat, mazdoori aur doosre kharche, kisan ki parchi aur kharidar ka bill, aur dono khate

  • Bill: kisan ka maal kharidar ko bori, kg ya maund mein wazan aur rate se
  • Aap ki arhat, mazdoori, bardana aur market fee kisan se
  • Kisan ki parchi aur kharidar ka bill print ya WhatsApp
  • Har kisan ko kya dena aur har kharidar se kya lena, adayegi aur peshgi ke saath
  • Din ka total: bori, wazan, bikri aur arhat

Kis se juRta hai ▾

Zaroorat: Udhaar khata. Har kisan ko dena aur har kharidar se lena un ke khate mein rehta hai. Yeh aap ke liye khud lag jata hai.

  • + WhatsApp aur SMS Kisan ko parchi aur kharidar ko bill WhatsApp par milta hai.
  • + Kharcha aur munafa Aap ki arhat aur kharche aamdani mein; kisan aur kharidar ke baqaye aap ke accounts mein.

Delivery

Doodh aur rozana delivery

Rs 299/mahina

Rozana gharon ko doodh, pani ki botalein ya LPG: har gahak ki miqdar, rider ki din ki sheet (zyada, kam, nahi diya), botalein di aur wapis li, aur mahine ka aik bill un ke khate aur WhatsApp par

  • Har gahak ki rozana miqdar, cheez aur rate (doodh, dahi, pani, LPG)
  • Rider ke liye din ki sheet: zyada, kam ya nahi diya aik screen par
  • Botal ya cylinder diye aur khali wapis liye
  • Mahine ka aik bill gahak ke khate mein, WhatsApp par
  • Routes, taake har rider apni gali dekhe

Kis se juRta hai ▾

Zaroorat: Udhaar khata. Har mahine ka bill gahak ke udhaar khate mein jata hai, jahan wasooli hoti hai. Yeh aap ke liye khud lag jata hai.

  • + WhatsApp aur SMS Har gahak ko mahine ka bill WhatsApp par milta hai.

Jewellery

Jewellers (sunar)

Rs 499/mahina

Roz ka sone chandi ka rate, tag wali cheezain, wazan × rate se kaat aur banwai ke saath bill, CNIC ke saath purana sona, gahakon ke order, karigar aur wazan mein sone ka khata

  • Rozana sone aur chandi ka rate
  • Tag wale pieces; wazan × rate ke saath wastage aur making ka bill
  • CNIC ke saath purana sona, customer orders aur karigar
  • Wazan mein sone ka khata aur gold savings scheme
  • Bill se zewar qist par bechein
  • Aaj ke rate WhatsApp par bhejein aur dukaan ki screen ke liye rate board

Kis se juRta hai ▾

  • + WhatsApp aur SMS Bill aur "aap ka order tayyar hai" ke message WhatsApp par.
  • + Qistein (installments) Set qiston par bechein, schedule aur yaad dihani ke saath.
  • + Kharcha aur munafa Bill, purana sona, stock aur karigar ki mazdoori khud hisaab mein.

Izafi

WhatsApp aur SMS

Rs 249/mahina

WhatsApp aur SMS par receipts, yaad-dehani aur alerts

  • WhatsApp aur SMS par bill, yaad dihani aur alerts
  • Customers ko tehwar ki offers aur messages

Kis se juRta hai ▾

  • + POS aur billing Raseed WhatsApp par gahak ko jati hai, aur gahak aap ke WhatsApp number par chat kar ke order de sakte hain; order POS bill ban jata hai.
  • + AI Munshi Kisi bhi phone se WhatsApp par AI Munshi se poochein aur apne adad se jawab payein.
  • + Udhaar khata Udhaar ki yaad dehani raqam ke sath WhatsApp ya SMS par jati hai.
  • + Appointments aur services Gahakon ko appointment se kuch ghante pehle WhatsApp ya SMS par yaad dehani milti hai.
  • + Restaurant Gahak WhatsApp par khana order karte hain; manzoor orders seedhe kitchen screen par jate hain.
  • + Qistein (installments) Har qist ki tareekh par SMS ya WhatsApp yaad dehani jati hai.
  • + HRM aur payroll Salary slip aur chhutti ki khabar staff ko WhatsApp par milti hai.
  • + School aur academy Ghair haazir talba ke waldain ko, fees ki yaad dehani, nataij aur notices WhatsApp ya SMS par khud chale jate hain.
  • + Hospital aur clinic Nuskhe aur lab reports mehfooz link ke saath mareezon ko WhatsApp par pohanchti hain.
  • + Hotel, hostel aur PG Mehmaanon ke bill aur baqaya ki yaad dahani WhatsApp par.
  • + Petrol pump aur CNG Udhaar wale gahakon ko khata aur yaad dihani WhatsApp par.
  • + Jewellers (sunar) Bill aur "aap ka order tayyar hai" ke message WhatsApp par.
  • + Transport aur goods adda Maal pohanchne par lene walon ko khud WhatsApp ya SMS jata hai.
  • + Ganna kanta Kisanon ko parchi aur adaigi WhatsApp ya SMS par.
  • + Doodh aur rozana delivery Har gahak ko mahine ka bill WhatsApp par milta hai.
  • + Mandi arhat (commission agent) Kisan ko parchi aur kharidar ko bill WhatsApp par milta hai.
  • + Gym aur fitness club Jin ki fee baqi hai unhein WhatsApp par yaad dehani.

Tafseeli reports

Rs 199/mahina

Payroll, laagat aur karobar ki reports export ke sath

  • Bikri, stock, munafa, payroll aur cost reports
  • Excel aur PDF exports

Kis se juRta hai ▾

  • + POS aur billing Bikri, stock aur munafe ki reports, Excel aur PDF ke sath.
  • + HRM aur payroll Haazri aur tankhwah ki reports, Excel aur PDF ke sath.

AI Munshi

Rs 399/mahina

Bikri, maal, staff aur payroll ke baare mein aam zaban mein sawal poochein

  • Bikri, stock, udhaar, staff aur payroll ke baare mein asaan alfaz mein poochein
  • Urdu ya English mein awaaz se sawal, WhatsApp par bhi

Kis se juRta hai ▾

  • + POS aur billing Poochein "aaj kitni bikri hui?" aur jawab apni bikri se paayein.
  • + WhatsApp aur SMS Kisi bhi phone se WhatsApp par AI Munshi se poochein aur apne adad se jawab payein.
  • + Udhaar khata Poochein sab se zyada udhaar kis par hai.
  • + HRM aur payroll Poochein is hafte kaun ghair haazir tha ya tankhwah ka kul kitna hai.
  • + School aur academy Poochein kis class mein sab se zyada fees defaulters hain ya aaj kaun ghair haazir tha.

API aur webhooks

Rs 299/mahina

Apni apps ke liye REST API aur webhooks

  • Apni apps ke liye REST API aur webhooks

Kis se juRta hai ▾

  • + POS aur billing Aap ki apni website ya app bikri aur cheezain parh sakti hai.

Apna brand

Rs 599/mahina

Apna brand aur domain, platform ki branding nahi

  • Apna brand aur domain, Munshi ka naam nahin

Kis se juRta hai ▾

Koi module khud kyun lag gaya?

Kuch modules doosre module ke oopar chalte hain. Couriers, online stores, restaurant, kharidari aur appointments ko POS chahiye, aur qist ko udhaar khata. Hum use khud shamil kar dete hain taake kuch na toote, aur aap ke total mein dikhate hain.

Kya baad mein badal sakte hain?

Ji haan. Plan wale page se kabhi bhi module lagayein ya hatayein. Naya module muft trial se shuru hota hai.

Module hatane se mera data kya hoga?

Kuch delete nahi hota. Module dobara on karein, sab kuch wahin milega.

Munshi app install karein

YouTube par kholein